ek andhi daud thi ukta gaya tha main khud hi saf se bahar aa gaya tha na dil bazar mein us ka laga phir jise ghar ka pata yaad aa gaya tha faqat ab ret ki chadar bichhi hai suna hai us taraf dariya gaya tha usi ne rah dikhlai jahan ko jo apni rah par tanha gaya tha mujhe jalna pada majbur ho kar andhera is qadar gahra gaya tha koi taswir ashkon se bana kar fasil-e-shahr par chipka gaya tha samajh aakhir mein aaya wahima tha jo kuchh ab tak suna samjha gaya tha