hum akele hi sahi shahr mein kya rakhte the dil mein jhanko to kai shahr basa rakhte the ab kise dekhne baithe ho liye dard ki zau uth gae log jo aankhon mein haya rakhte the is tarah taza khudaon se pada hai pala ye bhi ab yaad nahin hai ki khuda rakhte the chhin kar kis ne bikhera hai shuaon ki tarah raat ka dard zamane se bacha rakhte the le gain jaane kahan garm hawaen un ko phul se log jo daman mein saba rakhte the kal jo dekha to wo aankhon mein liye phirta tha hae wo chiz ki hum sab se chhupa rakhte the taza zakhmon se chhalak utthin purani tisen warna hum dard ka ehsas naya rakhte the ye jo rote hain liye aankh mein tute tare apne chehre pe kabhi chand saja rakhte the aaj wo shahr-e-khamoshan ki tarah hain 'ajmal' kal talak shahr mein jo dhum macha rakhte the