ek anhoni ka Dar hai aur main

ek anhoni ka dar hai aur main
dasht ka andha safar hai aur main

hasrat-e-tamir puri yun hui
hasraton ka ek nagar hai aur main

baam-o-dar ko nur se nahla gaya
ek udti si khabar hai aur main

mashghala thahra hai chehre dekhna
us ke ghar ki rahguzar hai aur main

jab se aangan mein uthi diwar hai
is haweli ka khandar hai aur main

waqt ke parde pe ab to roz-o-shab
ek tamasha-e-digar hai aur main

jaane kya anjam ho 'nasir' mera
ek yar-e-be-khabar hai aur main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close