hath phailae the tum ne mujh ko tanha dekh kar ab khafa hote ho kyun zakhm-e-tamanna dekh kar chandni-raaton mein aksar us gali ke mod par chaunk uthta hai koi apna hi saya dekh kar ye nazar ki tishnagi ye salsabil-e-husn-e-yar ji sulagta hai labon ke pas dariya dekh kar yaad aa jata hai na-sufta umidon ka maal dhalte sayon mein gulon ka rang udta dekh kar the ba-faiz-e-ishq hum bhi yusuf-e-bazar-e-misr laut kar jate kahan shahr-e-zulekha dekh kar