ek apne silsile mein to ahl-e-yaqin hun main

ek apne silsile mein to ahl-e-yaqin hun main
chhe feet tak hun is ke alawa nahin hun main

ru-e-zamin pe chaar arab mere aks hain
in mein se main bhi ek hun chahe kahin hun main

waise to main globe ko padhta hun raat din
sach ye hai ek flat hai jis ka makin hun main

takra ke bach gaya hun bason se kai dafa
ab ke jo hadisa ho to samjho nahin hun main

jaane wo koi jabr hai ya ikhtiyar hai
daftar mein thodi der jo kursi-nashin hun main

meri ragon ke nil se malum kijiye
apni tarah ka ek hi zahr-afrin hun main

mana meri nashist bhi aksar dilon mein hai
angina ki tarah magar dil-nashin hun main

mera bhi ek bap tha achchha sa ek bap
wo jis jagah pahunch ke mara tha wahin hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close