jo baat munh se nikalen to jurm hai apna lahu ko rag bana len to jurm hai apna haya se nichi nigahon ko band rakhna hai nazar kabhi jo utha len to jurm hai apna labon pe mohr ho dil lakh tukde tukde ho zaban se harf nikalen to jurm hai apna ye qaid-o-band ye pabandiyan zamane ki jo us se rukh ko phira len to jurm hai apna