ek aur siyah raat hai is raat se aage ab baat nikal jaane ko hai baat se aage koshish to bahut karta hun khulta hi nahin wo baitha hai kahin shak sa mulaqat se aage dene ko bahut kuchh hai magar waqt-e-sakhawat hota hi nahin koi meri zat se aage thi kaisi talab jis ko pakadne ke junun mein dil chalta raha chaar qadam hat se aage han rahat-e-dil jaan-e-nazar honge manazir dekha hi nahin kuchh basar-auqat se aage thoda sa kahin jama bhi rakh dard ka pani mausam hai koi khushk sa barsat se aage yun tark-e-talluq na karo is se bhi 'shahin' kuchh achchhe marasim nahin haalat se aage