hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe

hamein shuur-e-junun hai ki jis chaman mein rahe
nigah ban ke hasinon ki anjuman mein rahe

tu ai bahaar-e-gurezan kisi chaman mein rahe
mere junun ki mahak tere pairahan mein rahe

mujhe nahin kisi uslub-e-shairi ki talash
teri nigah ka jadu mere sukhan mein rahe

na hum qafas mein ruke misl-e-bu-e-gul sayyaad
na hum misal-e-saba halqa-e-rasan mein rahe

khule jo hum to kisi shokh ki nazar mein khule
hue girah to kisi zulf ki shikan mein rahe

sarishk rang na bakhshe to kyun ho bar-e-mizha
lahu hina nahin banta to kyun badan mein rahe

hujum-e-dahr mein badli na hum se waz-e-khiram
giri kulah hum apne hi bankpan mein rahe

ye hukm hai rahe mutthi mein band sail-e-nasim
ye zid hai bahr-e-tapan kuza-e-kuhan mein rahe

zaban hamari na samjha yahan koi 'majruh'
hum ajnabi ki tarah apne hi watan mein rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close