gung hain sari zaminen aasman hairat-zada raftagan shashdar sabhi aaindagan hairat-zada chus leti hai zamin pani jahan hon nafraten khushk hoti nahr pe mat hon kisan hairat-zada kaun ghar ka hai ye dhowan kis ki hai yakh-bastagi barf hoti is nadi ka sab dhuan hairat-zada is tahayyur-khez shahr-e-nur ki har shai ajab har yaqin hairat-zada har-ik guman hairat-zada dakhle par takhtiyan hain jin pe kunda nam hain kaun kaise kis tarah aur hai kahan hairat-zada sang-e-marmar se bana jangal jahan-e-arzu daftari lahja liye main ek jawan hairat-zada kis tarah ka dars mujh ko de raha hai aaftab sahn-e-maktab mein kahin hai kahkashan hairat-zada zikr tha malfuf kun ka aasman ki baat thi sun raha tha shahr sara dastan hairat-zada