ek bar hi ji bhar ke saza kyun nahin dete gar harf-e-ghalat hun to mita kyun nahin dete aise hi agar munis-o-gham-khwar ho mere yaro mujhe marne ki dua kyun nahin dete ab shiddat-e-gham se mera dam ghutne laga hai tum reshmi zulfon ki hawa kyun nahin dete farda ke dhundlakon mein mujhe dhundne walo mazi ke darichon se sada kyun nahin dete moti hun to phir sozan-e-mizhgan se piro lo aansu ho to daman pe gira kyun nahin dete saya hun to phir sath na rakhne ka sabab kya patthar hun to raste se hata kyun nahin dete