ek be-hasil talab be-nam ek manzil bana tutne ke baad hi dil dar-haqiqat dil bana manzilen hi kya naya har jada-e-manzil bana lekin apne aap ko pahle kisi qabil bana hum fareb-e-rang-o-bu kha kar bhi aage badh gae kam-nigahon ke liye har marhala mushkil bana kis qadar ahd-afrin aalam hai teri zat ka jo teri mahfil mein aaya wo khud ek mahfil bana gham se na-manus rahne tak thin sari talkhiyan rafta rafta gham hi apni umr ka hasil bana pi gae kitne hi aansu hum ba-nam-e-zindagi ek muddat mein kahin dil dard ke qabil bana jazba-e-manzil salamat raston ki kya kami hum jidhar nikle naya ek jada-e-manzil bana har maqam-e-zindagi par tha mera aalam juda main kahin tufan kahin kashti kahin sahil bana tabsire karne lage hain log hasb-e-hausla 'shauq' aasani se main kuchh aur bhi mushkil bana