ek tis ba-mushkil tham tham kar ashkon ki zaban tak pahunchi hai malum nahin barbaadi-e-dil pahunchi to kahan tak pahunchi hai be-tabi-e-gham badhte badhte kya zakhm-e-nihan tak pahunchi hai har dard nazar mein ubhra hai har sans fughan tak pahunchi hai kitne to fareb-e-manzil mein ehsas-e-talab tak kho baithe haalanki abhi duniya-e-nazar manzil ke nishan tak pahunchi hai kya chaara-e-dard-e-mahrumi aane ko hazar aa jae hansi ye chot zara si chot sahi phir bhi dil-o-jaan tak pahunchi hai haalat se kuchh hat kar bhi kabhi haalat samajhne padte hain lekin ye mataa-e-dur-rasi kuchh dida-waran tak pahunchi hai kitne hi ghamon ko duniya ne de di hai zaban afsanon ki barbaadi-e-ahl-e-dil lekin kab sharh-o-bayan tak pahunchi hai ab tak hai fughan-e-nim-shabi mahrum-e-asar to rahne do kya kam hai yahi aawaz-e-shikast-e-dil to wahan tak pahunchi hai mumkin hai ki 'shauq' ab wo khud bhi taskin-e-tamanna de na saken parde mein hansi ke poshida fariyaad yahan tak pahunchi he