ek be-hunar hun aur hunar chahti hun main ab dhup ke safar mein shajar chahti hun main tanhaiyon ka khauf hai ghere hue mujhe apni gali se us ka guzar chahti hun main likkha hai apne nam se apne pate pe khat muddat ke baad apni khabar chahti hun main ye thik hai ki tum se mohabbat nahin mujhe ye bhi hai thik tum ko magar chahti hun main hai kya ajab ki tark-e-talluq ke bawajud chehre pe apne us ki nazar chahti hun main