ye ban-sanwar ke meri sadgi mein laut aae mere khayal meri shairi mein laut aae use kaho ki meri zat ab bhi baqi hai diya bujha de meri raushni mein laut aae wo jis tarah se parinde shajar pe lautte hain hum apne aap se nikle tujhi mein laut aae jo main hansun to mera ashk ban ke wo chhalke kisi tarah se wo meri hansi mein laut aae khushi mili bhi to hum ko kabhi na ras i udasiyon ke sabab is khushi mein laut aae phisalti ret sa hathon se gir gaya tha jo wo guzra waqt kabhi phir ghadi mein laut aae hamein to ek hi chehre ka kaam hota hai hata ke bhid ko hum phir usi mein laut aae bade ghurur se nikle the alwidaa kah kar bas ek bar pukara gali mein laut aae