ek be-nishan harf-e-sada ki taraf na dekh wo dur ja chuka hai hawa ki taraf na dekh aabaad kar le dida-o-dil mein sanam-kade kahta hai wo ki ek khuda ki taraf na dekh apni hi aafiyat ki tag-o-dau mein mahw rah is sar-zamin-e-ah-o-buka ki taraf na dekh apne ufuq ki tang faza se hi kaam rakh maidan-e-hashr dasht-e-bala ki taraf na dekh kar le na apne shahr-e-tilismat ka asir us ki nigah-e-hosh-ruba ki taraf na dekh rakh khak-e-dil pe apne qadam ehtiyat se mauj-e-hawa-e-samt-numa ki taraf na dekh