shahr ki viran sadak par jashn-e-gham karte hue ja raha hun khushki-e-mizhgan ko nam karte hue zindagi tanha safar par gamzan hoti hui aur hum yaadon ko pichhli ham-qadam karte hue bol uthte hain kai barson purane zakhm bhi dil ho jab masruf apni chup raqam karte hue us ka bhi kahna yahi barbaad ho jaoge tum aur hum bhi thik waisa dam-ba-dam karte hue mehrbani lazmi hai khud bhi apni zat par harj kaisa aap apne par karam karte hue dang rah jaoge tum apne karam-farma ko jab dekh loge ek dafa ghar mein sitam karte hue ain-mumkin hai tadap uthna hamara ek din yaad mein allah ki yaad-e-sanam karte hue jaane kis dam le ude ye maut ka jhonka 'amar' ek din khak-e-badan ko khud mein zam karte hue