ek bhuk ubhri pairahan-e-zar-nigar se bad-surati jhalakne lagi ishtihaar se tishna-labi ko ped ke sae se kya gharaz nam phutta hai rah se ya regzar se mumkin hai ab zamin ualtni pade mujhe kuchh farq padne wala nahin jab pukar se yani tera badan hai banawat mein kuchh ajib yani tujhe gurez hai mitti ke bar se aawaz ho chuka hai magar bolta nahin is lab ko kuchh kalam nahin ikhtiyar se