ek chehra hadaf banane par dhar liya kyon hamein nishane par sochta hun ye kya tasalsul hai tut jata hai sans aane par sare moti bikharte jate hain ek dhage ke tut jaane par hijr pichhe hi pad gaya mere chand lamhon ko gudgudane par ungliyan 'najm' khud pe uthne de tu na ungli utha zamane par