hijr inam-e-wafa ho jaise

hijr inam-e-wafa ho jaise
jurm-e-ulfat ki saza ho jaise

dagh-e-dil aaj bhi lau deta hai
tera naqsh-e-kaf-e-pa ho jaise

rahraw-e-rah-e-wafa se puchho
har-nafas karb-o-bala ho jaise

dil mein ye josh-e-tarab to dekho
dard bhi koi dawa ho jaise

yun har ek khat ko taka karta hun
mere hi nam likha ho jaise

ghaur se ahl-e-qafas han sunna
jaras-e-gul ki sada ho jaise

ek tair nazar aaya hai abhi
hudhud-e-shahr-e-saba ho jaise

tesha-zan koi nihan tha mujh mein
wo bhi ab mar sa gaya ho jaise

mere ashaar wo yun padhta hai
aaina dekh raha ho jaise

yun hawa chikh rahi hai ban mein
dil use dhund raha ho jaise

ye tera 'jabir'-e-shirin-guftar
khusraw-e-shahr-e-nawa ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close