na zindagi se shikayat na tum se shikwa hai mera libas hi mere lahu ka pyasa hai badan ko chhod ke jaun to ab kahan jaun janam janam se mera us ke sath rishta hai mera wajud meri apni hi nigahon mein libas-e-jism ke hote hue bhi nanga hai salib lao ise surkh-ru kiya jae koi kitab liye aasman se utra hai tumhaare jism mein main hun mere wajud mein tum har ek aadmi ek dusre mein zinda hai tum apne aap se kyon ajnabi se lagte ho tumhaare jism pe 'shadab' kis ka pahra hai