ek dhan ko ek dhan se alag kar lun aur gaun sanson ka ek charagh kahin dhar lun aur gaun gandhaar ki shua chunun phir shuaon se yaqut sath-e-sang se chun kar lun aur gaun sar-chashma-e-wajud ko hargiz na chhedun main koyal se ek irada-e-tewar lun aur gaun bheron mein din nikalta dikhaun main dahr ko aur subh tak charaghon ki lo kar lun aur gaun aur phail jaun chaaron taraf bazgasht sa lab par tera wazifa-e-azbar lun aur gaun aur dasht mere sath rahe bahta megh mein barish mein apne waste ek ghar lun aur gaun koyal pukarti rahe jamun ke ped par man mein kisi nafas ka subu bhar lun aur gaun kalyan ke ujale mein phirti hai shab kahin main sham hi se kandhe pe chadar lun aur gaun aa jaun apni gardish-e-sayyargan ko main chakkar pe ek dusra chakkar lun aur gaun ye waqt hai bahae hue kaenat ko naddi ki lahron se koi jhaalar lun aur gaun rahti hai bas-ki rakh zamanon ki taq par main bhi charagh-e-hijr ka chakkar lun aur gaun jalne lage jo shahr to sara undel dun ja kar kisi kinare se phir bhar lun aur gaun aangan mein jagte hain gul-o-lala raat bhar main bhi kisi ke kanton ka bistar lun aur gaun aawaz chakna-chur ho shor-e-lahad ke bich sang-e-mazar se koi thokar lun aur gaun milna kisi se rakhna-e-awargi to hai mil kar kisi se dusra mehwar lun aur gaun rukhsat ke waqt tut gaya jo pahad tha sine mein tere panw ke kankar lun aur gaun lagne laga hujum-e-shar-angezi har taraf yaksui-e-khumar ko hi sar lun aur gaun jo jo parinda baitha hua tha so ud gaya pahlu mein apna khali sa pinjar lun aur gaun din raat mein bade bade aate hain inqalab lekin main tera nam barabar lun aur gaun jhukne lagi hai qaus-e-quzah subh-dam 'nawed' ye tokari gulab ki sar par lun aur gaun