sapnon ki dhaara mein bahta rahta hun shabdon ke aakar badalta rahta hun haal se mustaqbil se aankhen band kiye mazi ki dahliz pe sota rahta hun un se teri shakl nahin milti phir bhi phulon se din-raat jhagadta rahta hun bahar ghup andhiyara gunge bahre log apne aap se baaten karta rahta hun main hun sar se pa tak zahr-bhara 'sagar' khud hi apne jism ko dasta rahta hun