ek din zehn mein aaseb phirega aisa

ek din zehn mein aaseb phirega aisa
ye saman-zar nazar aaega sahra aisa

main ne kya ranj diye ashk na lautae mujhe
ai mere dil koi be-faiz na dekha aisa

ek muddat se koi lahar na utthi mujh mein
meri aankhon se chhupa chand ka chehra aisa

raat kahti hai mulaqat na hogi apni
tu koi khwab na main nind ka mata aisa

jism ki sath pe kaghaz ki tarah zinda hain
tu samundar hai na main dubne wala aisa

tere chehre pe ujale ki sakhawat aisi
aur meri ruh mein nadar andhera aisa

har nae dard ki poshak pahan li main ne
jaan mohazzab na hui main tha barahna aisa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close