sine ka bojh ashkon mein dhalte hue bhi dekh patthar ko mauj-e-khun mein pighalte hue bhi dekh hathon mein apne waqt ki talwar ko sambhaal phir zakhm kha ke mujh ko sambhalte hue bhi dekh aankhon ke aainon se hata aansuon ki barf aur mujh ko apni aag mein jalte hue bhi dekh pahli nazar mein kar na kisi naqsh par yaqin logon ko apni shakl badalte hue bhi dekh kab tak phirega shahr mein parchhaiyon ke sath suraj ko us gali se nikalte hue bhi dekh