shana to chhuta zulf-e-pareshan se ulajh kar suljha na ye dil kakul-e-pechan se ulajh kar leta hai khabar kaun asiran-e-bala ki mar mar gae tariki-e-zindan se ulajh kar zoron pe chadha hai ye mera panja-e-wahshat daman se ulajhta hai gareban se ulajh kar diwane khat-o-zulf ke saude ki lahar mein kya kya na bake sumbul-o-raihan se ulajh kar aasar-e-qayamat kahin jaldi ho numayan ghabrae hai ji ab shab-e-hijran se ulajh kar darta hun kahin tab nazakat se na khawe mu-e-kamar us zulf-e-pareshan se ulajh kar sau pech mein aaya hai hamara dil-e-sad-chaak shana ki tarah kakul-e-pechan se ulajh kar girdab-e-bala mein dil-e-ashiq ko phansaya baali ne teri zulf-e-pareshan se ulajh kar tai kar gae sab kaba-e-maqsud ki manzil ek rah gae hum nakhl-e-mughilan se ulajh kar dauda hua jata hai raqib us ki gali ko yarab ye gire raste mein daman se ulajh kar jazb-e-dil-e-majnun ne kiya kaam jo apna naqa na ruka khar-e-bayaban se ulajh kar yarab main use dekhun agar dida-e-bad se rah jae nazar panja-e-mizhgan se ulajh kar ai tir-fagan bas hai yahi mujh ko tamanna chhute na rag-e-jaan tere paikan se ulajh kar mat bahs raqiban-e-kaj-andesh se 'ghafil' be-qadr na ho aise safihan se ulajh kar