ek dusre mein dub ke hum par ho gae is bar yun mile hain ki sarshaar ho gae waise shurua mein hamein dushwariyan huin phir us ke baad hum bhi adakar ho gae is jism ko tawajjoh ka fuqdan le gaya tum ne chhua nahin hai to mismar ho gae kal ka kise pata magar itna zarur hai hum log zehni taur pe tayyar ho gae dariya na duriyon ka kabhi par ho saka kashti mein panw rakhte hi bedar ho gae mitti ke sath zehn ko bhi kuchh numu mili barish hui to thode se ashaar ho gae