hamara masala hal ho raha hai ki ab ye shahr jangal ho raha hai kisi ne apni naw kya utari ye dariya jaise pagal ho raha hai musalsal ruh zakhmi ho rahi hai badan mismar pal pal ho raha hai main shiddat dhup ki jab sah chuka hun koi aise hi baadal ho raha hai in aankhon ki adam-e-dilchaspiyon se hamara khwab bojhal ho raha hai meri sanson ka jaane kya banega tera aana moattal ho raha hai jahan ke aakhiri hisse mein hun ab safar-nama mukammal ho raha hai