ek ek ghadi us ki qayamat ki ghadi hai jo hijr mein tadpae wahi raat badi hai ye zoaf ka aalam hai ki taqdir ka likha bistar pe hun main ya koi taswir padi hai betabi-e-dil ka hai wo dilchasp tamasha jab dekho shab-e-hijr mere dar pe khadi hai dekha to zamana gila-e-hijr se kam tha samjha tha ki furqat se shab-e-wasl badi hai rone se haya shama ki zahir ho to kyun kar uryan hai magar beach mein mahfil ke khadi hai ab tak mujhe kuchh aur dikhai nahin deta kya jaaniye kis aankh se ye aankh ladi hai mar jaun jo main wadi-e-ulfat mein ajab kya maqsad hai mera sakht to manzil bhi kadi hai kab aaoge waqt aa gaya duniya se safar ka waqfa hai koi dam ka na saat na ghadi hai kad hai wo mujhe kuch mein aane nahin dete apna hai khayal un ko mujhe dil ki padi hai himmat ko nazar pa nahin sakti kisi surat dil koi bada hai jo koi aankh badi hai ai hashr numainda-e-raftar thahar ja us zulf ke sadqe jo teri panw padi hai tadpa diya dil gundh ke gesu shab-e-waslat main jaanta tha pith pe phulon ki chhadi hai baala-e-jabin khun jab aaya to araq kya ai jalwa-gah-e-husn teri dhup kadi hai aadhi se ziyaada shab-e-gham kat chuka hun ab bhi agar aa jao to ye raat badi hai aaraish-e-gesu ko hasin mang rahe hain 'saqib' ki ghazal kya koi moti ki ladi hai