hausla wajh-e-tapish-ha-e-dil-o-jaan na hua shola-e-shama teri bazm mein raqsan na hua husn tha mast-e-azal jam-e-ana laila se tan ki uryani se majnun koi uryan na hua lab-e-mansur se di kis ne anal-haq ki sada tu agar parda-e-pindar mein pinhan na hua hum rahe chashm-e-inayat se hamesha mahrum dil-nashin tir-e-nazar ka koi paikan na hua chashm-e-jaanan mein samate hain samane wale maut se aankh ladana koi aasan na hua dil hai but-khana-e-asnam-e-khayali 'sahir' tu wo kafir hai ki bhule se musalman na hua