sahmi hai sham jagi hui raat in dinon kitne kharab ho gae haalat in dinon yani ki main khuda se bahut dur ho gaya uthte nahin dua ko mere hath in dinon ruthi hui hai chand se ek chandni dulhan be-nur hai ye taron ki baraat in dinon na-ashna-e-sozish-e-gham hai tamam shahr samjhe na tum bhi hiddat-e-jazbaat in dinon utra hai meri aankh mein baadal ka ek hujum har subh-o-sham hoti hai barsat in dinon muddat hui ki chhut gaya khud se apna nafs tum se bhi ho saki na mulaqat in dinon ye sher-o-shaeri ka hi faizan hai 'qamar' dushman bhi kar raha hai teri baat in dinon