sitam ka tir jo hai wo teri kaman mein hai jo kah chuka hun main wo hi mere bayan mein hai main khali jism hi ghar se nikal ke aaya hun meri jo jaan hai ab bhi usi makan mein hai isi liye to sabhi hum pe ho gae hawi ye phut aapsi jo apne khandan mein hai meri taraf jo ye dekhe to is se baat karun ye mera dost magar jaane kis ke dhyan mein hai agar main chahun harifon pe chot bhi kar dun sukhan ka tir ek aisa meri kaman mein hai ghurur-e-jism pe aur jaan pe are tauba na jaane mitti ka putla ye kis guman mein hai makan pe ja ke zara is ke that dekh 'nazir' gada bhi aaj ka ye kitni aan-ban mein hai