ek gali se khushbu ki rasm-o-rah kafi hai lakh jabr mausam ho ye panah kafi hai niyyat-e-zulekha ki khoj mein rahe duniya apni be-gunahi ko dil gawah kafi hai umr-bhar ke sajdon se mil nahin saki jannat khuld se nikalne ko ek gunah kafi hai aasman pe ja baithe ye khabar nahin tum ko arsh ke hilane ko ek gunah kafi hai pairwi se mumkin hai kab rasai manzil tak naqsh-e-pa mitane ko gard-e-rah kafi hai chaar din ki hasti mein hans ke ji liye 'amabar' be-nashat duniya se ye nibah kafi hai