ek ghadi jazba-e-nafrat ke siwa chahti hai zindagi tujh se mohabbat ki dua chahti hai kya karun dost to itne bhi nahin hain mere roz ye ruh koi zakhm naya chahti hai kya ajab taur se karti hai shikast apni qubul ab ye duniya koi hangama bapa chahti hai jis mohabbat ke labon se kabhi jhadte the gulab ab wahi lahja-e-ashufta-nawa chahti hai jaan ko zakhm-e-tamanna se ifaqa na hua phir nae ishq mein paiman-e-wafa chahti hai shohraten dhal gain ek umr ki manind so ab mauj-e-ruswai mere ghar ka pata chahti hai mere honton ki tamanna bhi ajab hai 'afaq' us ke rukhsar pe ek phul khila chahti hai