us ko ehsas ki khushbu se riha karna tha phul ko shakh se khilte hi juda karna tha puchh barish se wo hanste hue roi kyon hai mausam us ne to nasha-bar zara karna tha talkh lamhe nahin dete hain kabhi pyason ko sans ke sath na zahrab rawa karna tha kis qadar gham hai ye shamon ki khunuk rangini mujh ko lau se kisi chehre pe rawa karna tha chand pura tha use yun bhi na takte shab bhar yun bhi yaadon ka har ek zakhm hara karna tha donon samton ko hi mudna tha mukhalif jaanib sath apna hamein sheron mein likha karna tha karb se aai hai nainan mein ye nilahat bhi dard ki nili ragen dil mein rakha karna tha