ek gham hai use apna jaanen hum kisi aur ko kya pahchanen mujh ko barbaad kar aabaad bhi kar jhut is tarah se kah sach jaanen khwab dekhen nae sar se tere phir tere dhyan ki chadar tanen dil ke bazar ka naqsha tha ajib chand nikla to khulin dukanen chhedte hain use khud hi 'mushaf' us ki baaton ka bura bhi manen