hai ajib chiz ma-e-junun kabhi dil ki pyas nahin bujhi magar ab mila ke to dekh lun zara ek qatra-e-agahi meri khamushi meri be-hisi yahi mera raaz-e-fasurdagi kabhi so gaya hun to jag uthi hai ye dil ki chot dabi dabi hai ye kaisi sohbat mai-kashan ki har ek jam lahu lahu yahi dosti hai to ai khuda mujhe ras aae na dosti hai malul mujh se dua-e-maut ki sath us ka na de saka mere raste mein jo aa gai yahi zindagi yahi zindagi zara aa ke samne baith ja meri chashm-e-tar ke qarib aa mere aaine mein bhi dekh le kabhi apni zulf ki barhami yahi sath sath mere raha main isi ka pa na saka pata kabhi har qadam pe mujhe mila yahi aadmi yahi aadmi mere sath sath chale the sab mera sath koi na de saka mere ham-safar mere ham-nazar meri khud-sari meri sar-kashi meri samt aur bhi saqiya wo jo bund bund mein zahar tha jise aur koi na pi saka wo sharab mere hi munh lagi main shahid-e-zulmat-e-shab sahi meri khak ko yahi justuju koi raushni koi raushni koi raushni koi raushni