khuddari-e-hayat ko ruswa nahin kiya hum ne kabhi zamir ka sauda nahin kiya jaan se aziz tha hamein dastar ka waqar zalim ko sar to de diya sajda nahin kiya phir lab pe tere kalma-e-afsos kis liye main ne to tere jabr ka shikwa nahin kiya mandla raha hai aaj jo sahil ke ird-gard tufan ko to tum ne ishaara nahin kiya us ke rukh-e-jamil ke aae jo ru-ba-ru mahtab aisa charkh ne paida nahin kiya garche mere qalam ke kharidar kam na the mere zamir hi ne gawara nahin kiya