ek hai phir bhi hai KHuda sab ka

ek hai phir bhi hai khuda sab ka
is ka us ka mera tera sab ka

husn-e-mastur ko ayan kar de
ek ho jae muddaa sab ka

jurm-e-dil ki saza mili mujh ko
main ne paya liya diya sab ka

naza mein de gae jawab hawas
eatibar aaj uth gaya sab ka

ek begana-khu ko dil de kar
main gunahgar ho gaya sab ka

main kisi ka nahin siwa jis ke
hae wo hai mere siwa sab ka

aisi kya ho gai khata mujh se
mujh pe hai jaur-e-na-rawa sab ka

sab ko chhoda hai main ne jis ke liye
wo sitamgar hai aashna sab ka

ek manzil hai ai 'nasim' magar
jada-e-shauq hai juda sab ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close