wo aaen ub gae hain jo dahr mein apne

wo aaen ub gae hain jo dahr mein apne
main ek dasht banata hun shahr mein apne

kisi ki yaad bhanwar ban ke is tarah lipti
ki panw chhod hi aaya main nahr mein apne

sabhi ko bant ke shaklen khudi rahe be-shakl
hamin akele musawwir the shahar mein apne

ginun jo phir se inhen ab to badh gae honge
gine hain zakhm abhi pichhle pahr mein apne

ghazal ka zaiqa marte samay bhi taza rahe
shakar milai hai so hum ne zahr mein apne

'charagh' hum se adibon ne fasla rakkha
tamam sher the haalanki bahr mein apne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close