jo imtihan-e-wafa ko wo tund-KHu aae

jo imtihan-e-wafa ko wo tund-khu aae
tera jigar nahin ai bul-hawas ke tu aae

hai istifada-e-sohbat ko shart istedad
muhaal hai kabhi kanton mein gul ki bu aae

wo sajda kyon na kare be-khudi mein chaar taraf
tera hi jalwa nazar jis ko chaar-su aae

jab aae tum to badhane ko aae hasrat ke
kabhi nikalne ko meri aarzu aae

ye kah raha hai kisi ka jamal-e-hosh-ruba
kare jo hosh ka dawa wo ru-ba-ru aae

hujum-e-yas se dil bhar gaya ye khub hua
jagah nahin rahi baqi ki aarzu aae

bahaar-e-ashk hue us gali mein ruswa hum
milae khak mein moti si aabru aae

nasim tujh ko mubarak bahaar ka aana
qafas mein hun mujhe kya lutf-e-rang-o-bu aae

buton ki sari haqiqat barahmno khul jae
abhi zaban par apni jo ek hu aae

haram tha dur na chuma jo sang-e-aswad ko
sanam-kade mein buton ke qadam to chhu aae

use haya nahin kahte ye zulm hai zalim
ghazab hai khwab mein bhi munh chhupa ke tu aae

khuda ki shan ke qurban o but-e-bedard
tasalliyan mujhe dene ko aur tu aae

'khayal' wasl ki shab hijr ka gila kaisa
khushi mein kyon koi ranjish ki bu aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close