hai koi mai-kash na baada hai na paimane ka nam muft mein badnam kar rakkha hai maikhane ka nam dusra kya aur hota aise virane ka nam dasht-e-wahshat hai munasib mere kashane ka nam gham hai meri zindagi ghamnak meri zindagi is liye zindan-e-gham hai mere virane ka nam but gae dil se magar yaad-e-butan to dil mein hai sath kabe ke chala jata hai but-khane ka nam baad-e-sarsar le udi jo chaar tinke the bache mit gaya gulshan se aakhir mere kashane ka nam yaad karta hai zamana ab bhi dasht-e-najd ko qais ka qissa liye phirta hai virane ka nam saqi-e-badmast ka tarz-e-nazar hai baada-rez ab kahan chalta hai maikhane mein paimane ka nam ahl-e-irfan ke liye hota hai ye saman-e-wajd jhumte rahte hain le kar tere diwane ka nam jaan-sitani chhod zalim jaan-nisari kar shiar aaj shahin se kahin badh kar parwane ka nam hote hote ho gai diwangi farzangi ho gaya hir-phir ke diwana hi farzane ka nam mujh par us mai-khana-e-qudrat ka 'khushtar' hai karam lete hain tasnim-o-kausar jis ke paimane ka nam