wo muskuraen asiran-e-rang-o-bu ke liye shuur chahiye phulon ko aarzu ke liye shahid-e-khanda-e-gul ai asir-e-jalwa-e-mah nazar ko garmi-e-dil chahiye numu ke liye ye kya kaha sar-e-mahfil nigah-e-qatil ne machal rahi hai har ek shai mere lahu ke liye utha ke sahn-e-chaman mein naqab-e-lala-o-gul maze bahaarne tashhir-e-rang-o-bu ke liye faqat nazar ko charagh-e-rah-e-talab na samajh zarur gumshudagi bhi hai justuju ke liye jabin-e-subh pe raushan charagh-e-tur nahin wo aa gae hain sar-e-baam guftugu ke liye ghurur-e-chaak-e-junun 'faiz' sar-nigun na hua hazar khar-e-mughilan badhe rafu ke liye