ek hi aawaz par wapas palat aaenge log tujh ko phir apne gharon mein dhundne jaenge log dubte suraj ki surat mera chehra dekh lo phir kahan bab-e-maani dhundne jaenge log mat kaho qismat hai apni be-dili naguftani phir sahar hogi darakhshan phir bhale aaenge log pal jhapakne tak hai ye hangama-e-waraftagi jab nazar se dur hoge bhulte jaenge log phir nai khwahish ke zarron se banaenge nagar phir nai rasm-e-talab rasm-e-wafa laenge log munhasir rangon ki aatish par nahin hai dilkashi maile kapdon mein bhi tujh ko dekhne aaenge log