kaun si wo shama thi jis ka main parwana hua aur phir lau bhi lagi aisi ki diwana hua saqi-e-sar-mast se jab tak ki lene ko badhun hath se girte hi chakna-chur paimana hua dil harim-e-naz se le kar to hum nikle magar ho gaya aalam kuchh aisa sab se begana hua khair thi ulfat mein dil ne rang kuchh badla na tha ab tamasha dekhiyega wo bhi diwana hua hum ne jaane kya kaha logon ne kya samjha use sarguzisht-e-dard-e-dil thi jis ka afsana hua faiz saqi ne badal di surat-e-dil aur hi pahle paimana tha paimana se mai-khana hua mere lab tak aate aate kyun chhalak jata hai 'shauq' jam-e-rangin saghar-e-mul ya ki paimana hua