kisi tarah bhi to wo rah par nahin aaya hamare kaam hamara hunar nahin aaya wo yun mila tha ki jaise kabhi na bichhdega wo yun gaya ki kabhi laut kar nahin aaya hum aap apna muqaddar sanwar lete magar hamare hath kaf-e-kuza-gar nahin aaya khabar to thi ki maal-e-safar hai kya lekin khayal-e-tark-e-safar umr bhar nahin aaya main apni aankh ke rauzan se dekh sakta hun wo phul bhi jo abhi shakh par nahin aaya abhi dilon ki tanabon mein sakhtiyan hain bahut abhi hamari dua mein asar nahin aaya