ek hum ki un ke waste mahw-e-fughan rahe ek wo ki dast-e-shauq se daman-kashan rahe dil mein yahi khalish rahe soz-e-nihan rahe lekin mazaq-e-ishq-o-mohabbat jawan rahe ek waqt tha ki dil ko sukun ki talash thi aur ab ye aarzu hai ki dard-e-nihan rahe ahl-e-wafa par aain hazaron musibaten ye sab rahin-e-gardish-e-haft-asman rahe un ka shabab har gul-e-nauras se phat pada chhupne ke bawajud wo har su ayan rahe hum ne hazar tarah kiya un ko mutmain har baat par wo hum se magar bad-guman rahe allah re talkh-kaami-e-ulfat ki intiha mujh se mere 'aziz' bhi daman-kashan rahe