jaan di kis ke liye hum ye bataen kis ko kaun kya bhul gaya yaad dilaen kis ko jurm ki tarah mohabbat ko chhupa rakkha hai hum gunahgar nahin hain ye bataen kis ko ruth jate to manana koi dushwar na tha wo talluq hi na rakkhen to manaen kis ko kaun deta hai yahan khwab-e-junun ki tabir khwab hum apne sunaen to sunaen kis ko koi pursan-e-wafa hai na pashiman-e-jafa zakhm hum apne dikhaen to dikhaen kis ko chaak-e-dil chaak-e-gareban to nahin ham-nafaso hum ye taswir sar-e-bazm dikhaen kis ko kaun is shahar mein sunta hai fughan-e-durwesh apni aashufta-bayani se rulaen kis ko ho gaya khak rah-e-ku-e-malamat 'akhtar' rah par laen jo ahbab to laen kis ko