ek inqalab-e-musalsal hai zindagi meri ek iztirab-e-mukammal hai khamushi meri ye kis maqam pe pahunchi khud-agahi meri ki aaj aap ne mahsus ki kami meri mizaj-e-husn ko bhai na bandagi meri niyaz-e-ishq mein shamil rahi khudi meri muhit-e-kaun-o-makan hai jamal-e-parda-nashin wo samne the jahan tak nazar gai meri hadis-e-dil ba-zaban-e-nazar bhi kah na saka huzur-e-husn badhi aur bebasi meri gulon ka zikr hi kya gul to khair gul hi hain chaman ke khar udate hain ab hansi meri pila pila ke nigahon se baada-e-taskin badha raha hai koi aur tishnagi meri rula rula ke zamane ne intiqam liya mujhe to ras na aai kabhi hansi meri teri nigah ne kya de ke shad-kaam kiya ki be-niyaz-e-tamanna hai zindagi meri rulaegi meri yaad un ko muddaton 'zauqi' karenge bazm mein mahsus jab kami meri