ek inqalab ki yaksar tha us ke jate hi ki dil lahu nahin patthar tha us ke jate hi wo umr bhar mujhe jis se rihai de na saka main us hisar ke bahar tha us ke jate hi usi ke dam se tha qaem nizam-e-mai-khana kahin subu kahin saghar tha us ke jate hi mujhe to pahle hi ashkon ne rasta na diya ghubar-e-rah bhi sar par tha us ke jate hi tamam shahr ek taswir ban gaya tha 'shahab' ajib did ka manzar tha us ke jate hi