sar-ba-sar shakh-e-dil hari rahegi ta-abad aankh mein tari rahegi main ne qissa hi pak kar dala ishq hoga na khud-sari rahegi aks bante rahenge pesh-e-nazar surat-e-aina-gari rahegi satr-dar-satr khun jalaya hai lafz mein raushni bhari rahegi khamushi odh li darakhton ne aarzu-e-sukhan-wari rahegi koi manzil talash li jae ab kahan tak ye be-ghari rahegi bagh mein hai qayam ka mauqa sab parindon se dilbari rahegi kya hamesha bhatakna hai mujh ko kya hamesha subuk-sari rahegi zindagi se dari rahungi main zindagi sae se dari rahegi chand agar dub bhi gaya 'mahin' taq par chandni dhari rahegi